Tujhme

Tujhme tu bahut bhara hai,
meri aawaaz oonchi to hai magar,
tujh tak pahunch nahi raha hai.

Denewale de gaye tujhko bahut,
tera ghaav abhi tak hara hai,
kuredo jisko woh kab bhara hai.

Yeh nahi kehta mai ki tu bura hai,
par aur bhi hain log, dard aur kisse,
ho sakta hai ki woh bhi sahi hai.

Tera dhoop, tera chashma, ab tak hai,
badla hai mausam, badle hain log,
par tu dekh nahi pa raha hai.

Tere dard me tu sama gaya hai,
kabhi bahar nikalke bhi to dekh,
kya pata tu bhi khush ho sakta hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Thodi si

Yehaan Ke

Kya Hota?