Kya Hota?
Haasil se thoda guroor hota hai,
aur guroor ka kad ooncha hota hai,
zyadatar log use baune lagte hain,
aur unka fan lateefa lagta hai.
Kya hota gar shayar shayar na hota,
sher nahi, degriyaan hoti, padak hote,
izzat, shohrat aur aapsa rutba hota,
na hota tamasha na woh rusva hota.
Shayar to deewaana albela hota hai,
dard se ranjish nikalke labz pirota hai,
diljala hai, kisi ke liye bhi ro padta hai,
aap haste raho, isiliye likhte rehta hai.
Comments
Post a Comment