Yehaan Ke

koshishen to ki thi magar,
himmaten bhi dikhai thi,
khamiyaan shayad reh gayi,
daaman humari choot gayi.

kushti ke akhade me the hum,
daav pech bhi seekha humne,
shayad bhookh thi thodi kam,
ki yehaan ke ho na paye hum.

yeh jeet ka kaisa mahol hai,
yeh siqast ka kaisa shab-e-gham,
na raas aaya, na zehen me aayi,
ajnabi chehere, ajnabi sheher ho gayi.

badi zillaten hui, bade beaabru hue,
muskurana abhi bada mushqil hua,
zahaan zaroorat meri, chala jaun abhi,
do roti mil jaye, bas yehi dua hai abhi.

Comments

Popular posts from this blog

Thodi si

Kya Hota?