Thodi si
Thodi si jhooth humne bhi keh daali
Thoda sa gunaah humne bhi kar daala
Thoda sa dil humne bhi laga diya
Aur thoda sa dil humne bhi tod diya
Cheezen, samaan sab bikhre pade hain
Ghar hai aakhir, koi saraya khana nahi
Thoda sa nasha humne bhi kar daala
Thodi si jawaani humne bhi kho diya
Khaas ban'na kaun nahi chahta
Chand ka khwaab kaun nahi dekhta
Kabhi taqdeer ki razamandi na thi
To kabhi keemat dene me thodi tangi thi
Zindagi kab kaise aur kahaan guzar gayi
Khabar na thi kab khaas se aam ban gayi
Comments
Post a Comment