Ab, ek pal

Ab nahi hai, abhi to dekha tha,
Kab guzar gaya, ek hi to pal tha.

Is pal me kaise rahoon,
Itne me kaise sama jaaun.

Palak jhapakte ud jaata jo,
Phir naya pal le aata woh.

Jo beet gaya, woh to guzar gaya,
Jo aayega, uska ummeed naya.

Jane aur aane ke beech me aaj,
Undekha sa, unsuljha sa, koi raaz.

Dhoond'un kahaan, isme jeeun kaise,
Ek pal hi to hai, jane dun kya aise?

Comments

Popular posts from this blog

Thodi si

Yehaan Ke

Kya Hota?