Posts

Showing posts from July, 2017

Aapne

Na khabar thi, na socha tha kabhi Kin yaadon ke safar me bitha diya aapne. Ek tasveer ke zariye guzra waqt mehsoos karwa diya aapne. Kuch aansu kuch muskaan, Khudse se rooh baruh karwa diya aapne!

Guftagu

Hai Sacchai aapki aawaaz mein itni Har shabd aapki eet si buland jitni Aeeb tamasha yeh suniye to sahi Aapki awaz wahan tak pahunchti nahi Woh kadr kya jane, jisne jaan le lee Kuch alfaaz ke, jisme aapne jaan daal dee Naaraaz na hoiye meri aawaaz ka Ki main bhi rota hun in haalaat ka

Agar...

Agar aisa hota, agar waisa hota, Ye soch ke dil kabhi nahi bharta Manzil kahin aur hoti, safar kuch aur hota, kya pata, phirbhi dil nahi bharta अगर ऐसा होता, अगर वैसा होता यह सोच कर दिल कभी नहीं भरता मंज़िल कहीं और होती, सफर कुछ और होता क्या पता, फिरभी शायद दिल नहीं भरता

Sawaal

Paak-e-mizaaj, fitrat noorani, chehra musqurata, shehed zubani Aant me ranjish, Seene me nafrat, Zubaan pe baddua, manzil hai shahadat Itni nafrat, intni zeher, itna zidd Tere safar ka manzil hai bas raakh Na khauf Khuda ka, na fikr insaan ki Tere tukde mitti ke, meri wahi khaakh Tu ek sawaal hai kabse adhoori Jiska jawaab shayad kabhi na ho poori

Maafi

Badi galti ho gayi, maafi kisse maangun Saalon guzar gaye, samjhane kisse jaun Chehre ki deewangee, purdah pe phisal gayi Haqeeqat se unjaan, pacchees saal guzar gayi Jab jab maine tujhse iqraar kiya Tab tab maine muhhabat ka tauheen kiya Aaj gham nahi hai ki tune mujhe nahi chaha Aaj fikr hai to bas yeh ki maine tujhe kyun chaha Jisne jaan daaldi kadmon pe, uski fikr kahaan thi Aaj sochun dil se, khudah mere kitne kareeb thi Adhbhut khel hai yeah nirala, tera rachaya Har pal ki aahat hai, maine sun nahi paaya

सब तुम्हारा

यह धरती तुम्हारी, यह आसमान तुम्हारा  पानी, पवन और मिटटी, सब तुम्हारा  कितना और बांटोगे, कितना और काटोगे हर तलवार तुम्हारी, हर खंजर तुम्हारा  अब रुक भी जाओ, थक भी जाओ  यहां ज़िन्दा हर सांस भी तुम्हारा  जी लो हर पल, बनो किसीका सहारा  मिटटी का हर टुकड़ा भी तुम्हारा  किस रूहानियत से नाम खुदा का लेते हो  उतने ही शिद्दत से खून इंसान का बहते हो  कहते हो जीने का हक़ नहीं उसको  मानो शैतान ने पैदा किया हो उसको  धरती पर यह तांडव रचाते हो  क़यामत में हूर की उम्मीद रखते हो  पलक झपकते ज़िन्दगी गुज़र जाती है  प्यार समेटने में उम्र बीत जाती है  नफरत का समंदर जो रक्खे फिर रहे हो,  अपने सीने में आखिर कैसे समाते हो