Ek Kahani
Badi galti ho gayi, maafi kisse maangun Saalon guzar gaye, samjhane kisse jaun Tere deedaar ki chahat me umr nikal gayi Zindagi meri mujhse kahin door chali gayi Jab jab maine tujhse iqraar kiya Tab tab maine muhhabat ka tauheen kiya Aaj gham nahi hai ki tune mujhe nahi chaha Aaj fikr hai to bas yeh ki maine tujhe kyun chaha Jisne jaan daaldi kadmon pe, uski fikr kahaan thi Aaj sochun dil se, khudah mere kitne kareeb thi Ajeeb raste, ajnabi manzil, ehsaas zaroor hua Har pal ek aahat thi magar, kabhi sun na paaya