Ek Kahani
Badi galti ho gayi, maafi kisse maangun
Saalon guzar gaye, samjhane kisse jaun
Tere deedaar ki chahat me umr nikal gayi
Zindagi meri mujhse kahin door chali gayi
Jab jab maine tujhse iqraar kiya
Tab tab maine muhhabat ka tauheen kiya
Aaj gham nahi hai ki tune mujhe nahi chaha
Aaj fikr hai to bas yeh ki maine tujhe kyun chaha
Jisne jaan daaldi kadmon pe, uski fikr kahaan thi
Aaj sochun dil se, khudah mere kitne kareeb thi
Ajeeb raste, ajnabi manzil, ehsaas zaroor hua
Har pal ek aahat thi magar, kabhi sun na paaya
Comments
Post a Comment