Posts

Showing posts from February, 2018

Aaj Dard

Aaj dard itna gehra kyun hai, ki mushqil hai bayaan karna? Labz itne chote pad rahe hain, ki aasan nahi hai insaaf karna. Waqt aise ruk gaya hai aaj, mano bhool gaya hai chalna. Dil itna khaamosh hai kyun, shayad bhool gaya hai dhadakna. Soonapan taak rahi hai mujhe, shayad mujhse hai kuch kehna. Koi rudaali chaati peet rahi hai, rukti nahi kaanon me goonjna. Aasman itna kaala kyun hai, toofan ka koi ishara haina? Aaj dard itna gehra kyun hai, ki mushqil hai bayaan karna?

Kya Hota?

Haasil se thoda guroor hota hai, aur guroor ka kad ooncha hota hai, zyadatar log use baune lagte hain, aur unka fan lateefa lagta hai. Kya hota gar shayar shayar na hota, sher nahi, degriyaan hoti, padak hote, izzat, shohrat aur aapsa rutba hota, na hota tamasha na woh rusva hota. Shayar to deewaana albela hota hai, dard se ranjish nikalke labz pirota hai, diljala hai, kisi ke liye bhi ro padta hai, aap haste raho, isiliye likhte rehta hai.

हम भिन्न भिन्न हैं

हम भिन्न भिन्न हैं उतने  जितनी हमारी हाथ की है रेखाएं  हम पथिक एक ही पथ के  चाहे जितनी भिन्न हो दिशाएं  प्रथम भी हम, सेष भी हम  परिपूर्ण रूप से, केवल हम ही हम  आनंद भी हम, क्लेश भी हम  करता भी हम, भरता भी हम  भेंट होती तो है, अनेक संग किन्तु  केवल क्षण भर के हेतु  जीवन के पगडण्डी पे अग्रसर  अपने ही पग बढ़ाने पड़ते हैं हर प्रहर 

कौन किस राह पे

कौन किस राह पे चले जायेगा  कौन सा मोड़ कब मुद जायेगा  कौन सा मंज़िल कब बदल जायेगा  ऐसा कौनसा मुसाफिर है वहां  जो इसका जवाब दे पायेगा  हर राह निराला, हर मोड़ नया होगा  हर साथी अनोखा, साथ देते जायेगा  तू रही है, हर तूफ़ान गले लगाएगा  ऐसा कौनसा मंज़िल है वहाँ  जहां तक तू पहुँच नहीं पायेगा 

Qaafiyaa

Dard ka rishta ajeeb hota hai, zubaan ke saath, chot dil pe lage to aansu, naghma banke beh jata hai. Qaatil apna ho to qaafiya, muskurake baith jaati hai, gair ho to na alfaaz kareeb aate, na kagaz saath deti hai. Karta to hai labzon se bayaan, magar fakeer sufiyana hota hai, nikalti to hai rooh ki kahaani, lekin saath gile shiqve bhula deta hai.