Qaafiyaa
Dard ka rishta ajeeb hota hai,
zubaan ke saath,
chot dil pe lage to aansu,
naghma banke beh jata hai.
Qaatil apna ho to qaafiya,
muskurake baith jaati hai,
gair ho to na alfaaz kareeb aate,
na kagaz saath deti hai.
Karta to hai labzon se bayaan,
magar fakeer sufiyana hota hai,
nikalti to hai rooh ki kahaani,
lekin saath gile shiqve bhula deta hai.
Comments
Post a Comment