Posts

Showing posts from September, 2017

कभी मैं गुज़रा नहीं

कभी मैं गुज़रा नहीं,  की मुझमे कुछ गुज़र जाता है  कभी मैं रुका नहीं, की मुझमे कुछ थम जाता है  ढूंढ़ने लगा हूँ दोस्तों  खबर नहीं किस चीज़ को  खुद को तनहा पाता हूँ, फिर महसूस करता हूँ तुम सब को  गीले शिक़वे तो होंगे ज़रूर, कोई बूत या फरिश्ता तो नहीं हम  फिरभी रिश्ता तो है, बंधे थे किसी दिन, न टूटे न हुए काम  शायद इसीको दोस्ती कहते हैं, और यह दोस्तों का साथ  करीब हो या दूर, मगर चलते रहे लेके हाथों में हाथ 

कब्र पर

जिस श्याम को ढून्ढ रहे हो  वह तो कब की ढल चुकी है  जिस शमा की आस लगाए हुए हो  वह तो कब की बुझ गयी है  दीवानगी में खोटा सौदा कर बैठे  हिसाब न लगा पाए कभी  उम्र गुज़ार दी कब्र पर बैठ कर  की शायद वह उठ जाए कभी  दफनाए हुए को बेडफन करोगे  तो फखत मिटटी ही न पाओगे  दफन मिटटी में हो कोई बदन  या गुज़रे वक़्त के तेरे हो धड़कन  गुज़रा वक़्त कभी लौट के नहीं आता  मिटटी में सोया जो, वह मिटटी ही बन जाता है  यह हकीकत है, कोई कहानी नहीं  ज़हन में लेले इसे, अबयही तुझसे इल्तेजाः है 

Main Likkhoon

Mai likkhun, aur likhte jaun Dard dil ka sunata jaaun Thoda has lun, thoda sa rolun Tum na sunoh, marzi tumhari Bazaar me kuch to mol hoga Chahe halke ho chahe thode bhari Aaj kothe pe bithake to dekhun Bewajah dafn kyun karun Aakhir jaan bhi hai, aur janoon Alfaz mere jo tujhe na chun paaye Kahin koi sharaabi bhi miljaye Nashe me sahi, par wah wah to bhar jaye

Kashmakash

Badi berahmi se khud ko mujhse door rakhti ho, Utne hi pyar se apni yaadein bhejti ho magar. Door jane ki koshish karta hun to rok deti ho, Darwaze par baith jaata hun ek aas lekar. Mud ke dekhta hun to nazar nahi aati ho, Dhoond'te reh jata hun ek ummeed lekar. Na samajh aati hai, na rehta hosh thikane, Sab dhundla dikhta hai, aata nahi kuch nazar. Rone ke bahut chaah hai par yeh ho nahi paata, Muskurane ka waqt bhi ab to gaya hai guzar. Badi mehnat se khud ko sambhaalta hun mai, Ek aahat suni tumhari, ki hosh bikhre darbadar. Is kashmakash se kaise niklun, madad karo meri, Zindagi ke baaki pal, yun hi jayenge bikhar .

Shukriya

Humne seekh liya tha jeena, ki khwaab tumne dikha diya. Humne seekh liya tha bhoolna, ki yaad tumne dila diya. Humne seekh liya tha peena, Ki hosh tumne uda diya. Haathon se ret phisal gayi hai, Kya tumne kuch keh diya? Ab to chandni bhi chubhti hai, Shayad tumhe mehsoos kiya... Ab hosh se pare ho gayi hai soch, Apne hisse ki zindagi maine jee liya. Mitti se mulaqat thodi der hai abhi, Khatm hone laga ab, shukriya mere piya.

Teranve Tigers

Bold abhi bald ho gaya, purani hai baat phir bhi char chamber dil hai, WiFi ke saath Barbie gayi doll khareedne, Bali umr me ishq ladane Fiji Raani ne ek muskaan kya bhari Raja ka dil uske kadmon pe aa Giri Darpan devi zumba kar rahi hai Tuition master kabse dwar khade hai NRI seekh rahi yoga seershasan, Nona dhorahe hai biriyani bartan Curly ko khed hai ki bahut padhai kiya Par bold ke saath joint studies nahi kiya Munna ka bukhaar utar to gaya Ek nurse ne usko apna dil de diya Jab se hua Harry ka coco treatment Har kanya se woh always in agreement Ungli Rani uthane gayi hai sundar photo Aaj phir marenge deewane ek do tho Chichu seth church ke peeche gaya, Baingan ke kheti ki, ghar-bar banaya, Udaas laga to ninimon ko yoga sikhaya Hero gaya tel lene, Phir usku hai kapde dhone Tabela pada hai khali Ghodi laga rahi powder laali Darzi pitt raha hai by saali Seea hai usne tangg choli Samba hai filmisthan ka teerandaaz Mithun ka dance aur shabbir ki aawaaz

Ode to Dr Bala

An ode to Dr Bala, my teacher for 2 years, and my mentor, my friend for 16 years. Aaj aapki yaad aagayi Sir, ki dil thoda bhari sa ho chala Ek ek pal yaad aate gaye, main sochte chala, dekhte chala Kuch rishte aise kyuon hote hai, itne yaad kyuon ate hain Waqt tham kyoun jaata hai, aankhen nam kyoun hojate hain Door daraz se log aate the seekhne aapse, kuch khas kuch aam Deewane socha nahi karte, saath hi khush the, har roz, har shaam Dooriyan itni thi, fark itne the, phirbhi milte the hum Bewajah sahi, fakhat bant'te the thodi khushi, thoda gham Aaj aapki yaad aagayi Sir, ki dil thoda bhari ho chala Beete pal yaad hai mujhe, sochte chala, dekhte chala Happy teacher's day Dr N Balasubramanian!