Kashmakash
Badi berahmi se khud ko mujhse door rakhti ho,
Utne hi pyar se apni yaadein bhejti ho magar.
Door jane ki koshish karta hun to rok deti ho,
Darwaze par baith jaata hun ek aas lekar.
Mud ke dekhta hun to nazar nahi aati ho,
Dhoond'te reh jata hun ek ummeed lekar.
Na samajh aati hai, na rehta hosh thikane,
Sab dhundla dikhta hai, aata nahi kuch nazar.
Rone ke bahut chaah hai par yeh ho nahi paata,
Muskurane ka waqt bhi ab to gaya hai guzar.
Badi mehnat se khud ko sambhaalta hun mai,
Ek aahat suni tumhari, ki hosh bikhre darbadar.
Is kashmakash se kaise niklun, madad karo meri,
Zindagi ke baaki pal, yun hi jayenge bikhar.
Comments
Post a Comment