Posts

Showing posts from August, 2017

Kam Zyada

Kahin husn sunehra tha, to kahin fitrat thi haseen Kahin mitti kam thi, to kahin paani tha zyada kahin taqat thi bharpoor, to kahin maasumiat beshumaar kahin dil tha chota, to kahin dhadkane thi zyada har cheez banai nirali, har jaan me ek alag jaan daali kabhi idher, kabhi udher, kuch kam, kuch zyada aaj saath hai, kal nahi, aaj mile hain, kal kahin musafir hain sabhi, koi chale kam, koi thoda zyada Koi husn ka deewana, to koi koi khuda ka parvana nashe me hai har rooh, koi kam to koi thoda zyada har pal, har saans, har dard, har khusi, jee le mere yaar jeete to hain sabhi, koi thoda kam, koi thoda zyada

तू नशा है मेरी

तू नशा है मेरी  मेरा हर कतरा तुझमे डूबी है  एक बार जो तुझे चाहा  उम्र कम लगने लगी है  तेरा हुस्न, तेरी आँखें  तेरा कशिश, तेरा ज़हन  न ढली, न बदली  गवाह हर सांस हर धड़कन  तू दर्द है मेरी ज़िन्दगी का  एक मीठी खंजर  दवा, दुआ, लाख कोशिशें की  कम न होती मगर  तू हकीकत है, वहम है  या सपना कोई ? ऐसा मुझमे समायी क्या रूह है तू कोई? एक एहसास है, एक आहट है एक हिस्सा है मेरा तू  सच तो हो नहीं सकता   शायद एक ख्याल है तू 

Tarruff

Ishq ki tarruff karaun aaj ho gar teri razamandi dooba har pal isme hai ek zindagi ya to ek sadi Har pehlu anokha, har ek ke andaaz nirala Iske raaz bhi bhari, jisne dil me hai paala Jin aankon ko dekh ke dhadkan tham jaye, Unhi ke aansuon ko dekh ke saanse ruk jaye Jis ke deedaar ke ummeed me zindagi chali aaye Usi ko dekhte hi pal bhar me zindagi chali jaye Dard ka ehsaas hota na ummeed hoti khushi ki Ek nasha reh jata hai khali, bas fanaah hone ki

Ek Saans

Na dhadkanon ko paas aane diya na kabhi meri aah ko kareeb guzarne Aate bhi to tere dil ko kuch na hota Na kuch andar jata, na kuch bahar aata Teri har aahat pe ek ummeed jaagta raha Badi shiddat se main unko dafn karta gaya Mahv-e-hairat hun, ki dard jawaan hoti rahi Khabar hi na rahi, aur ek zahaan ban gaya Silsila chalte ek zamana guzar gaya Har mod pe maine bhi dard tujhe diya Ummeed phirse hai, ek bar maafi maang loon Seene se lagalun aaj , ek saans to jee loon Mahv-e-hairat = Lost in wonder, wonder struck

Lateefa

Deevangi bhi ek anokhi wahem hoti hai Banjar dharti bhi samandar lagti hai Najane kitne zamane beet gaya par Mai baitha raha har roz, sham o seher Ilzaam tujhe kitna bhi doon mere yaar Umeed lagaye jo dil wohi gunehgaar Mai kis tarah apne aansu tujhe dikhata Dard bhi to apnon ko hi diya jata Tu chahe kitna bhi kam muskurade Dil to wohi dekhe, dhadke jis umeed pe Chand ki roshni se aashiyan jal gaya Zibdagi ka ye hissa lateefa ban gaya