Ek Saans
Na dhadkanon ko paas aane diya
na kabhi meri aah ko kareeb guzarne
Aate bhi to tere dil ko kuch na hota
Na kuch andar jata, na kuch bahar aata
Teri har aahat pe ek ummeed jaagta raha
Badi shiddat se main unko dafn karta gaya
Mahv-e-hairat hun, ki dard jawaan hoti rahi
Khabar hi na rahi, aur ek zahaan ban gaya
Silsila chalte ek zamana guzar gaya
Har mod pe maine bhi dard tujhe diya
Ummeed phirse hai, ek bar maafi maang loon
Seene se lagalun aaj, ek saans to jee loon
Mahv-e-hairat = Lost in wonder, wonder struck
Comments
Post a Comment