Kya pata

Aaj ek sawaal karne ko man karta hai,
Kya pata jawaab mile ya na mile.

Aaj ek hisaab mangne ko dil karta hai,
Kya pata muafzaa mile ya na mile.

Aaj dard batlane ko aansu behta hai,
Kya pata sunvayi mile ya na mile.

Aaj saza ki wajah poochna chahta hun,
Kya pata rihaee mile na mile.

Aaj zameen pe sone ko tan kehta hai,
Kya pata jagah mile ya na mile.

Comments

Popular posts from this blog

Thodi si

Yehaan Ke

Kya Hota?