Bholu 2

Bas khelta tha aur sabse prem karta tha.
aise praani ka naam to Bholu hi hoga.

Kal meri aankhen dhoond rahi thi,
kya pata muaa kahaan gaya hoga.

Shaam se man vichalit hua tha,
kya pata mujhe bhool gaya hoga.

Pata nahi kahaan chala gaya tha,
kahin to mitti me khel raha hoga.

Ghar baar to hai nahin uska,
galiyon me kahin ghoom raha hoga.

Apna to hai nahin koi uska,
kisi ko apna mitr bana raha hoga.

Par aascharya wali baat yeh thi ki,
bin baat kiye sab samahj jata hoga.

Koi dara hua ho, khush ho, ya dukhi,
pratyek man ko pehchaan jata hoga.

Adhikaansh log use milte hain ek baar,
par woh sabse ghul mil jaata hoga.

Bas khelta tha aur sabse prem karta tha.
aise praani ka naam to Bholu hi hoga.

Comments

Popular posts from this blog

Thodi si

Yehaan Ke

Kya Hota?