Beintehaan


Beintehaan chahte hain hum unko,
wajah kya hai hum jaante hi nahin.

Itni azeez kyun lagti woh humen,
hum kabhi samajh paate nahin.

Kabhi aisa pal koi guzra nahin,
jab unki yaad aati nahin.

Meri aawaaz un tak pahunchti nahi,
kya yeh mera dil jaanta nahin?

Yeh jaanta hai dil woh hume jaanti nahin,
kyon is baat ko yeh dil manta nahin?

Comments

Popular posts from this blog

Thodi si

Yehaan Ke

Kya Hota?