Jiya
Nafraton ko yun jo tune panaah diya,
badi der tak, aur door tak saath nibhaya.
Woh insaan hi kya, jisne gunaah na kiya,
woh zindagi hi kya jiya jisme maafi na diya,
Paani ka bulbula, ispe kaisa guroor kiya,
itni saari mitti, kya saath leke koi gaya.
Jo pal tere haath hai, aaj usiko jee le piya,
Muhhabat na kiya to kya khaakh zindagi jiya!
Comments
Post a Comment