Alvida
Naarazgiyan, naadaniyan, nafraten aur muhhabat,
Har pehlu zinda tha, har ehsaas jee raha tha.
Waqt thama hua tha, saansen tez thi, aur dhadkanen bhi,
Kabhi laga hosh me hun, kabhi behoshi ka aalam tha.
Nazdeekiyan, dooriyan, tanav aur yeah kashish,
Kabhi toofani, kabhi dheemi, hawa bhi rukh badal raha tha.
Kuch kahi, aur kuch unkahi, baaten thi bahut,
Kabhi andar jala rahi thi, kabhi bahar muskura raha tha.
Bahut aarzoo aur thodi ummeed thi, ki do pal hum bhi saath guzare,
Tehre rahe badi der tak, woh mera aakhri pal, jaa raha tha...
Comments
Post a Comment